Thursday, February 4, 2016

How To Change Facebook UserName

Me Sumit Suthar Aaj Mere Pyare Dosto ke liye Khas Post Lekar Aaya Hu To Chaliye Saru Karte He Facebook jispar Croro logo ke account hai or har roj average admi 23 minute facebook chalata hai.. Facebook par Indian ke 13 Crore Account hai jo ek bhut hi badi sankiya hai, or aane wale time me or bhi badne ki puri sambavna hai.

Facebook ke har account ki ek ID hoti hai sayad ye aapko pata hoga.. jab ham account banate hai to jo hamari ID hoti hai wo Kuch Number me hoti hai

https://www.facebook.com/profile.php?id=100008401053776


hamari jo Facebook Profile hoti hai ham uska username badal bhi sakte hai. jese aap meri FB ka username dek sakte hai.
https://www.facebook.com/sumitkihelp

To chaliye dekhete hai iske kya faide hai or isko kaise badla jaye.

Facebook Username ke Faide

Bese to dekha jaye to simple ye ek username hi hai jisko type karke ud ko khola ja sakta hai.. par iske kuch faide bhi hai jo me points me bata raha hu..
  1. facebook account me Login karne ke liye ham username ka istmal kar sakte hai apni Email ID or Mobile Number ki jagha.
  2. Apni Dost ko apni profile ke bare me batana ho, ya koi hamari profile ko search karna chahe to username ki madad se aasani se kar sakta hai.
  3. Facebook UserName ki madad se hamari Profile Google Search me bhi aane lagti hai..(ye un logo ka jabab hai jo mujse puchte hai kaise facebook ID ko search me laye
  4. Yaad rakhne me aasan ho jati hai apni ID.
Chaliye ek indecent bhi batata hu Facebook Username ka , jo mera ek dost ke sath huaa.hai jisko ek company me interview diya or uska selection bhi ho gaya.. Jo Company thi or Online Merketing ki thi to unkone uski Facebook Profile bhi Check ki or uski Job Cancel kardi, jab uska karan usko pata chala to sab heran rha gaye… ki uski Profile ka username set nahi hai.. Jab ye apni Profile ko manage nahi kar sakte to ye online kaam kaise kar sakte hai.. aesa sabke sath nahi hota par aesa ho bhi sakta hai.. isliye kabhi bhi choti choti bato ko andekha na kare..

Facebook UserName Set kaise kare

Sabse Phele Facebook Account me login kare fir aapko Account ki setting me jana hai.

  1. Drop Down erow par click kare.
  2. Settings par click kare.
ab jo Page khulega usme, usme General me Username ke samne jo edit ki link hai uspar click kare.
Ab hame apne Account ke liye username dalna hai.

  1. usename ke box me aap apna username dale..jese mene dala he aesa dale jisko yaad rakhne me aasan ho.. or agar aapke naam ka username available ho to usko dale.. Jo set karne ke liye available hoga to samne Tik ka nisan aa jayega.
  2. Ab Save Changes ki button par click kare.
<<>>   yaha ek baat diyan rakhne wali hai ki aapne ek bar username set kar diya to baadme sirf ek baar aap username ko edit kar sakte ho.. to phele achi se sochle kya username rakhna hai uske baad hi set kare.   
Me Sumit Suthar Vidaleta Hu Fir Nai Post ke Satha Mulakat Hogi Tabtak ke Liye kabhi Alvidana kahana........................................................................................................................................
Bahut jald is site ko jyada update karuga our koii nai tarkib aap ke pas hot to muje comment kare. ya post kare.... 

SHARE THIS

Author:

Etiam at libero iaculis, mollis justo non, blandit augue. Vestibulum sit amet sodales est, a lacinia ex. Suspendisse vel enim sagittis, volutpat sem eget, condimentum sem.

0 Comments: